Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun; Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun; Main Aap Kee Zindagi Kee Khushi Banu Ya Na Ban Sakun; Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun
Mere Jeene Ke Liye Tera Armaan Hi Kaafi Hai; Dil Ke Qalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai; Teer-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorate Ai Nazneen; Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan Hi Kafi Hai
Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye Hum apko yaad karein aur aapko khabar ho jaye Khuda se maangte hain ki aap jise bhi chaho Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye
Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen; Woh Hi Apne Samne Ho Hum Jidhar Dekha Karen; Ek Taraf Ho Sari Duniya Ek Taraf Teri Surat Ho; Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen
Kash Koi Mile Is Tarah Ke Phir Judaa Na Ho; Wo Samjhe Mere Mizaz Ko Aur Kabhi Khafa Na Ho; Apne Ehsaas Se Baant Le Saari Tanhayi Meri; Itna Pyaar De Jo Pehle Kabhi Kisi Ne Diya Na Ho
Yoon Hi Lakeer Khurchte Hain Apni Qismat Ki; Warna Unki Hatheli Mein Darj Hi Kya Hai; Kuch Is Liye Bhi Wo Aankhon Ko Band Rakhte Hain; Ke Khawaab Dekhte Rehne Men Harj Hi Kiya Hai
Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe; Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe; Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi; Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Hum Bhi Chahenge Tujhe Heer Ki Tarha; Rab Se Maangenge Tujhe Kissi Fakeer Ki Tarha; Rang Naa Laayi Aggar Hamaari Ye Duayen; To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse; Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barse; Minatien Kon Kare Aik Gharonde Ke Liye; Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barse
Sirf Dekh Ke Kisi Ko Dil Ki Baat Nahi Hoti; Mulakat Ho Phir Bhi Kabhi Barsaat Nahi Hoti; Janti Hoon Main Kabhi Tumhari Na Ban Paungi; Phir Bhi Is Dil Mein Kabhi Raat Nahi Hoti