Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum
Ab Aansoonon Ko Aankhon Mein Sajana Hoga; Chirag Bujh Gaye Khud Ko Jalana Hoga; Na Samajhna Ki Tumse Bichadke Khush Hain Hum; Hamein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga
Ansoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo Log muthi bhar namak liye ghumtey hain Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo
Yun Kisi Kee Yaad Mein Rona Fizool Hai; Itne Anmol Aansu Khona Fizool Hai; Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nisaar Hain; Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazaar Hain
Aur Zeyada Bharrkatey Ho Tum To Aag Mohabbat Ki; Sozish-e-Dil Ko Aye Ashko Kya Khaak Bhujana Seekhey Ho Translation: Sozish-E-Dil = Heartbreak Ashko = Tears
Kya Hoon Main Aur Kya Samajhte Hein; Sab Raaz Nahi Hote Batane Wale; Kabhi Tanhaiyon Mein Aakar Dekhna; Kaise Rote Hai Sabko Hasane Wale
Woh Begaano Mein Apne; Hum Apno Mein Anjaan Lagte Hain; Hamare Khoon Ki Bhi Keemat Nahi; Unke Ashkon Ke Bhi Daam Lagte Hain
itna mat muskurao kimuskurahat aankho se bahetum kuch kehna chahoaur laab kuch na kahe
Qasam Hai Tujhko Zahid Kya Kare Gar Koi Aankhon Se Dekhe; Chhalakna Saagar-e-Mai Ka Chahekna Badah Khwaron Ka
Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne; Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare