Dekh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay Iqbal; Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay Paani Se Bah Gaye
Uski Yaadon Kee Barish Jab Bhi Barasti Hai Mujh Par; Main Bheegta To Jarur Hun Lekin Palkon Kee Had Tak
Yeh Ashq Aankhon Mein Qasid Kis Liye Ekdam Nahin Thamta; Dil-e-Betaab Kaa Shayad Liye Maktoob Jaata Hai
Kaise Rokun Jo Ashk Aankhon Se Dhal Jaate Hain; Dil Ke Kuch Dard Hain Aankhon Se Nikal Aate Hain
Pyaas Bujh Jaye Zameen Sabz Ho Manzar Dhul Jaye; Kaam Kya Kya Na In Aankhon Kee Tari Aaye Humein
Raah Takte Jab Thak Gayi Meri Aankhein; Phir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansu Nikle
Muddat Baad Ki Usne Jo Lutf Ki Ik Nigaah; Dil To Khush Ho Gaya Par Aansu Nikal Pade
De Ga Agar Dard To Khud Bhi Doobay Ga; Woh Ek Shakss Jo Ankhon Me Rehta Hai
Judaai Mein Rahti Hoon Main Beqaraar; Piroti Hoon Har Roz Ashkon Ke Haa
Shaam Se Aankh Mein Nami Si Hai; Aaj Phir Aap Ki Kami Si Hai