Manzilejanan ko jab ye dil ravan
Manzil-e-janan ko jab ye dil ravan tha dostotum ko main kaise bataun kya saman tha dostohar guman pahane hue tha ek malbus-e-yaqinhar yaqin jan dada-e-husn-e-guman tha dostodil ki har dhadakan makan-o-lamakan par thi muhithar nafas raz-e-doalam ka nishan tha dostokya khabar kis justaju mein is qadar aawara thadil ke jo ganjina-e-sarr-e-nihan tha dostodhundhane par bhi na milta tha mujhe apna vujudmain talash-e-dost mein yun benishan tha dostomarkad-e-iqbal par hazir thi jab dil ki tadapzindagi ka ek parda darmiyan tha dostoqarb ne paida kiya tha khud hi duri ka samanfasala warna hail kahan tha dostobekhudi mein jab mere honton ne chuma qabr komere sina se gada-e-fursiyan tha dostoru-ba-ru-e-jalva-e-markad vujud-e-kam ayarzar-e-naqis sharmasar-e-imtehan tha dostopartav-e-dil mein nihan thi tah-bateh ye khamoshiishq ka wo bhi ik izhar-e-bayan tha dostojalvagah-e-dost ka aalam kahun main tum se kyajalva hi jalva vahan tha main kahan tha dostosajdagah-e-khurshiyan tha yan na jane kya tha wojo meri nazron ke aage aastan tha dostodil ne har lamhe ko dekha ik nirale rang meinlamha lamha dastan dar dastan tha dostojis ke sher-o-nagmagi par vusat-e-alam thi tanghar subah ko wo dopahre bekaran tha dostoso raha tha khak ke niche jahan-e-zindagiraz-e-hasti meri nazron par ayan tha dostokash tum bhi meri palkon ka nazara dekhteye nazara kahkashan dar kahkashan tha dosto