Dard Shayari English

Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main

Yun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa GayaLafzon Ki Rahguzar Se Woh Dil Main Sama GayaJo Nukta Sochta Raha Main Tamam OmarLamhon Main Sara Falsafa Mujh Ko Bata GayaYun Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar NeBakhshi Qabooliat Dil-E-Be-Ikhteyaar NeSunli Duaein Bhi Meri Parwardeegar NeWoh Bandagi Ka Mujh Ko Saleeka Sikha GayaUs Ka Khayal Subha Hai Us Ka Khayal ShaamJaise Pila Gaya Woh Mujhe Chahaton Ka JaamMatla Bhi Us Ke Naam Hai Maqta Bhi Us Ke NaamDeewaan-E-Shayri Mera Kuch Yun Saja GayaYun Haath Ki Lakeer Hina Ban Ke Chah GayiTasweer Us Ki Meri Haathaili Main Aa GayiKhushbu Qaba Se Sari Fiza Main Sama GayiChashm-E-Ghazal Main Meri Kajal Laga GayaKar Ke Mere Wajood Ko Makhmoor Le GayaAnjaan Raston Pe Mujhe Door Le GayaMadhoshiyon Main Ais Tarah Mashoor Le GayaTaza Ghamon Ki Raah Woh Mujh Ko Dikha GayaWoh Aik Asgher Sare Jahan Se Zara JudaOmeed Meri Aas Meri Hausla MeraAiwan-E-Dil Main Aatish-E-Chahat Laga GayaDin Ka Sakoon Raat Ki Neendein Chura GayaToofaan Jaise Shehar Main Aa Kar Guzar GayaChu Kar Mere Badan Ko Sehar Mujh Pe Kar GayaJis Ko Tapak Tapak Ke Sulaya Tha Aik OmarAikasgher Hi Chahaton Ke Woh Aarmaan Jaga GayaHar Shaamai Intezaar Sulagti Rahi BahutRoti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi BahutKhushbu-E- Gul Chaman Main Batakti Rahi BahutDeewangi Ki Aik Nayi Duniya Dikha GayaBe-Aasra Bhi Ho Ke Bahlna Qabool HaiShamma Ki Tarah Mujh Ko Pighalna Qabool HaiPurkhar Raaston Pe Bhi Chalna Qabool HaiKaanton Ki Rahguzar Se Ulajhna Sikha GayaYun Falsafa Hayat Ka Mujh Ko Bata GayaYun Haath Ki Khamosh Lakeeron Main Aa Gaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *